People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 10 *

dilbar dilbar o dilbar hayya habi o dilbar
Singer: Mohammad Rafi
Music: Usha Khanna
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aao-Pyar-Karen/Dilbar-Dilbar-
dilbar dilbar o dilbar hayya habi o dilbar
tera shabab uff uff aankhe sharab uff uff
tera shabab uff uff aankhe sharab uff uff
deewana tera ho jaau ek jaam peela de
dilbar dilbar o dilbar hayya habi o dilbar
dilbar dilbar

husno jamaal haye tauba mastana chaal haye tauba
julfo ke jaal haye tauba
aankho ke dore ye gulabi din se bahare haui sharabi
yu naa dilo ki ho kharabi
dilbar dilbar o dilbar hayya habi o dilbar
tera shabab uff uff aankhe sharab uff uff
deewana tera ho jaau ek jaam peela de
dilbar dilbar o dilbar hayya habi o dilbar
dilbar dilbar

dil ka karaar tera damse, aankhe naa fer aise humke
aaja baaho mein meri chhamse
phulo mein tujhe main bitha du, chaand sitare tujhe laadu
juro ki mallika bana du
dilbar dilbar o dilbar hayya habi o dilbar
tera shabab uff uff aankhe sharab uff uff
deewana tera ho jaau ek jaam peela de
dilbar dilbar o dilbar hayya habi o dilbar
dilbar dilbar

surat pe meri tu naa jaana, dil to hai pyar ka khajana
jisko hai tujhpe lutana, allah ka naam jara lele
haske salam jara lele, pyarse kaam jara lele
dilbar dilbar o dilbar hayya habi o dilbar
tera shabab uff uff aankhe sharab uff uff
tera shabab uff uff aankhe sharab uff uff
deewana tera ho jaau ek jaam peela de
dilbar dilbar o dilbar hayya habi o dilbar
dilbar dilbar
jinke liye main diwana bana vo bhi kahte hai
Singer: Mohammad Rafi
Music: Usha Khanna
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aao-Pyar-Karen/Jinke-Liye-Mai
jinke liye main diwana bana vo bhi kahte hai diwana mujhe
jinke liye main diwana bana vo bhi kahte hai diwana mujhe
ya khuda, ya khuda, ya khuda, ya khuda
jinke liye main diwana bana vo bhi kahte hai diwana mujhe

afsana chahate the afsana ban gaya
diwana chahate the diwana ban gaya
afsana chahate the afsana ban gaya
diwana chahate the diwana ban gaya
vo to samma na bane marzi unki
mai to hun dur dekho parwana ban gaya
ya khuda, ya khuda, ya khuda, ya khuda
jinke liye mai diwana bana vo bhi kahte hai diwana mujhe

muft me naam khoya dil bhi gava baithe
ishq bura ho tera rog laga baithe
muft me naam khoya dil bhi gava baithe
ishq bura ho tera rog laga baithe
jaye to jaye kaha koi thikana nahi
duniya ko chhoad ke tere dar pe aa baithe
ya khuda, ya khuda, ya khuda, ya khuda
jinke liye mai diwana bana vo bhi kahte hai diwana mujhe

bhule se puchh kabhi diwane haal kya hai
aankhe udas kyun hai dil me malala kya hai
bhule se puch kabhi diwane haal kya hai
aankhe udas kyun hai dil me malala kya hai
hum to yahi kahege husan ki kher ho
pyase dildar ke hai aur sawal kya hai
ya khuda, ya khuda, ya khuda, ya khuda
jinke liye main diwana bana vo bhi kahte hai diwana mujhe
jinke liye main diwana bana vo bhi kahte hai diwana mujhe
ya khuda, ya khuda, ya khuda, ya khuda
tamannao ko khilne de
Music: Usha Khanna
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aao-Pyar-Karen/Tamannaon-Ko-K
tamannao ko khilne de
irado ko jawa karle
mohabbat ka ye mausam hai
chalo gustakhiya kar le
mohabbat ka ye mausam hai
chalo gustakhiya kar le
tamannao ko khilne de

kaha tak aarzuo ko
koi dil me daba rakhe
kaha tak aarzuo ko
koi dil me daba rakhe
agar hotho pe pahre hai
to aankho ko juba karle
mohabbat ka ye mausam hai
chalo gustakhiya kar le
tamannao ko khilne de
jabse bani hai ye duniya
Music: Usha Khanna
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aao-Pyar-Karen/Aao-Pyar-Karen
jabse bani hai ye duniya
pyaar sanam hai pyaar khuda
jabse bani hai ye duniya
pyaar sanam hai pyaar khuda
aao pyaar karen, pyaar karen
aao pyaar karen, aao pyaar karen
pyaar karen, aao pyaar karen

wo dil dil hi nahin, jo na ho bekaraar
aankh wo kya jisme nahin, kisi ka intezaar
wo dil dil hi nahin, jo na ho bekaraar
aankh wo kya jisme nahin, kisi ka intezaar
kitni bhi ho ye duniya haseen
pyaar nahi to kuch bhi nahin
aao pyaar karen, pyaar karen
aao pyaar karen, aao pyaar karen
pyaar karen, aao pyaar karen

duniya ke har gam ki, pyaar hi hai dawa
kyun na rahe dil me sada, pyaar hi ka nasha
duniya ke har gham ki, pyaar hi hai dawa
kyun na rahe dil me sada, pyaar hi ka nasha
apna saathi saath mile,pyaar ka daaman haath mile
aao pyaar karen, pyaar karen
aao pyaar karen, aao pyaar karen
pyaar karen, aao pyaar karen

pyaar ki dhun me magan, chalta rahe caravan
soch ye kyun fikr ye kyun, manzilen hain kahan
pyaar ki dhun me magan, chalta rahe caravan
soch ye kyun fikr ye kyun, manzilen hain kahan
pyar ki subah o shaam nahin, iska koi anzaam nahin
aao pyaar karen, pyaar karen
aao pyaar karen, aao pyaar karen
pyaar karen, aao pyaar karen
bahaar-e-husn teri, mausam-e-shabaab teraa
Singer: Mohammad Rafi
Music: Usha Khanna
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aao-Pyar-Karen/Bahare-Husn-Te
bahaar-e-husn teri, mausam-e-shabaab teraa
kahaan se dhundh ke laae koi javaab teraa
ye subah bhi tere rukhasaar ki jhalak hi to hai
ke naam leke nikalataa hai afataab teraa

jahaan tu hai vahaan phir chaandani ko kaun puchhegaa -2
teraa dar ho to jannat ki gali ko kaun puchhegaa
jahaan tu hai

kali ho haath me le kar bahaaro ko na sharamaanaa
zamaanaa tujhako dekhegaa kali ko kaun puchhegaa
jahaan tu hai

farishto ko pataa denaa na apani rahaguzaaro kaa
vo qaafir ho ga_e to bandagi ko kaun puchhegaa
jahaan tu hai

kisi ko muskaraa ke khubasurat maut naa denaa
qasam hai zindagi ki zindagi ko kaun puchhegaa
jahaan tu hai

ye jhuki jhuki jhuki nigahen teri
Singer: Mohammad Rafi
Music: Usha Khanna
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aao-Pyar-Karen/Yeh-Jhuki-Jhuk
ye jhuki jhuki jhuki nigahen teri
ye ruki ruki ruki si ahen teri
dil ka raz keh gayi, tujh ko pyar hai kahi
ab ye bat chhup sakegi kaise teri, hay
ye jhuki jhuki jhuki nigahen teri
ye ruki ruki ruki si ahen teri
dil ka raz keh gayi, tujh ko pyar hai kahi
ab ye bat chhup sakegi kaise teri hoye
ye jhuki jhuki jhuki nigahen, wah wah

mastiyo mein doobi mast mast teri ada
har ada mein jhoomta hua sa ik nasha
mastiyo mein doobi mast mast teri ada
har ada mein jhoomta hua sa ik nasha
hai raz kya, samajh liya, samajh liya
ye jhuki jhuki jhuki nigahen teri
ye ruki ruki ruki si ahen teri
dil ka raz keh gayi, tujh ko pyar hai kahi
ab ye bat chhup sakegi kaise teri, hoye
ye jhuki jhuki jhuki nigahen

ye teri sadgi ye bankpan ki shokhiyan
munh chhupa nahin to gir padega asman
ye teri sadgi ye bankpan ki shokhiyan
munh chhupa nahin to gir padega asman
hai jhootth kya, khuda gawah, khuda gawah
ye jhuki jhuki jhuki nigahen teri
ye ruki ruki ruki si ahen teri
dil ka raz keh gayi, tujh ko pyar hai kahi
ab ye bat chhup sakegi kaise teri, haay
ye jhuki jhuki jhuki nigahen teri
meri dasta mujhe hi mera dil suna ke roye
Music: Usha Khanna
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aao-Pyar-Karen/Meri-Dastan-Mu
meri dasta mujhe hi mera dil suna ke roye
kabhi roke muskuraye kabhi muskurake roye
meri dasta mujhe hi

mile gum se apne fursat to mai hal puchu iska
mile gum se apne fursat to mai hal puchu iska
sha-be-gum se koi kah de kahi aur ja ke roye
meri dasta mujhe hi mera dil suna ke roye
kabhi roke muskuraye kabhi muskurake roye
meri dasta mujhe hi

hame wasta tadap se hame kam aasuo se
hame wasta tadap se hame kam aasuo se
tujhe yaad karke roye ya tujhe bhula ke roye
meri dasta mujhe hi mera dil suna ke roye
kabhi roke muskuraye kabhi muskurake roye
meri dasta mujhe hi

wo jo aazma rahe the meri bekarario ko
wo jo aazma rahe the meri bekarario ko
mere sath-sath wo bhi mujhe aazma ke roye
meri dasta mujhe hi mera dil suna ke roye
kabhi roke muskuraye kabhi muskurake roye
meri dasta mujhe hi
ik sunahari sham thi
Music: Usha Khanna
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aao-Pyar-Karen/Ek-Sunehri-Sha
ik sunahari sham thi
ik sunahari sham thi bahaki-bahaki jindagi
rah me ham tum mile meri palko ke tale
aashiya tera ban gaya, ik sunahari sham

do kadam milkar chale to fasale kam ho gaye
do kadam milkar chale to fasale kam ho gaye
pyar ne duniya badal di kya se kya ham ho gaye
shole shabnam ho gaye
ik sunahari sham thi bahaki-bahaki jindagi
rah me ham tum mile meri palko ke tale
aashiya tera ban gaya, ik sunahari sham

sham to ab tak wahi hai rang hai lekin juda
sham to ab tak wahi hai rang hai lekin juda
jane kis waadi me apna qafila gum ho gaya
phir hai dil tanha mera
ik sunahari sham thi bahaki-bahaki jindagi
rah me ham tum mile meri palko ke tale
aashiya tera ban gaya, ik sunahari sham
dil ke aayine me
Singer: Mohammad Rafi
Music: Usha Khanna
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aao-Pyar-Karen/Dil-Ke-Aaine-M
dil ke aayine me
dil ke aayine me tasvir teri rahati hai
main ye samajha koi jannat ki pari rahati hai

sochta hu mai kabhi kya tujhe bhi hai khabar
ki teri ek nazar hai meri shaam-o-sahar
tu baharo ka hai dil tu nazaro ka jigar ai jaan-e-vafa
dil ke aayine me tasvir teri rahati hai
main ye samajha koi jannat ki pari rahati hai
dil ke aayine me

husn-e-masum tera kabhi magrur na ho
apni taarif tujhe kabhi manzur na ho
ishq vaalo se jafa tera dastur na ho ai jaan-e-vafa
dil ke aayine me tasvir teri rahati hai
main ye samajha koi jannat ki pari rahati hai
dil ke aayine me
tum akele to kabhi baag me jaya na karo
Music: Usha Khanna
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aao-Pyar-Karen/Tum-Akele-To-K
tum akele to kabhi baag me jaya na karo
tum akele to kabhi baag me jaya na karo
aaj kal phool bhi dilwale hua karte hai
koyi kadmo se lipat baitha to phir
to phir kya hoga, to phir kya hoga
tum akele to kabhi baag me jaya na karo
tum akele to kabhi baag me jaya na karo
aaj kal kaliya badi shokh hua karti hai
koyi shokhi pe utar aayi to phir
to phir kya hoga, to phir kya hoga
tum akele to kabhi baag me jaya na karo

tum kabhi zulf ko chehre pe giraya na karo
tum kabhi zulf ko chehre pe giraya na karo
baz dil wale bhi kamzor hua karte hai
koyi nagin jo samjh baitha to phir
to phir kya hoga, to phir kya hoga
mehfil e husn ki chilman ko uthaya na karo
mehfil e husn ki chilman ko uthaya na karo
bijliyan kali ghatao me chhupi hoti hai
koyi chupke se chamak jaye to phir
to phir kya hoga, to phir kya hoga
tum akele to kabhi baag me jaya na karo

tum kabhi ankh me kaajal bhi lagaya na karo
tum kabhi ankh me kaajal bhi lagaya na karo
inhin ankhon ke jaricho me to ham baste hai
sath kaajal ke jo bah nikle to phir
to phir kya hoga, to phir kya hoga, hay hoy
husn walo ke muqabil kabhi aaya na karo
husn walo ke muqabil kabhi aaya na karo
sharbati ankho ke doro me nasha hota hai
bin piye hi jo bahak jao to phir
to phir kya hoga, to phir kya hoga
tum akele to kabhi baag me jaya na karo

dekho angadayi ko bhi baahe uthaya na karo
dekho angadayi ko bhi baahe uthaya na karo
aaj tak chaand ke daman ko na pahuncha koi
chaand ghabra ke jo gir jaye to phir
to phir kya hoga, to phir kya hoga
tum khayalo ki ye tasvire banaya na karo
tum khayalo ki ye tasvire banaya na karo
ret par dur se pani ka ghuma hota hai
umr bhar pyaas na bhujh payi to phir
to phir kya hoga, to phir kya hoga
tum akele to kabhi baag me jaya na karo

tum to aaine se bhi aankhe milaya na karo
tum to aaine se bhi aankhe milaya na karo
aaj tak aisi hasi cheez na dekhi hogi
apni surat pe jo mar baithe to phir
to phir kya hoga, to phir kya hoga
tum to aaine se bhi aankhe milaya na karo
tum to aaine se bhi aankhe milaya na karo
dil na dene pe bahut naaj kiya karte ho
apani surat pe bigad baithe to phir
to phir kya hoga, to phir kya hoga
tum akele to kabhi baag me jaya na karo
tum akele to kabhi baag me jaya na karo